Sunday 10 April 2011

CORRUPTION KI BAAT MAT KARO BHAI

Corruption ki baat kyun karte ho bhai?
Main to thehra sirf tumhaara naai.
Aaapke baal kaat ke chala jayunga
Aur phir agle mahine hi aayunga.

Yeh neta paanch saal mein ek baar aata hai,
Aapki jeb kaat ke chala jaata hai.
Rishwat lene ke liye naye tarike sochta hai,
Apne saath saath apne vote bhi bechta hai.

Main to ustre se karta hun tumahari shave,
Yeh bagair ustre se banata hai tumhein slave.
Main aapke bade hue nakhoon hun kaat-ta,
Yeh aapki ragon se khoon hai chat-ta.

Main baal kaatne ke baad aaina hun tumhein dikhata,
Yehi bhari roshni mein taare tumhein ginaata,
Main tumse paise lekar tumhein hun kursi pe bithata,
Yeh tumhare paise se khud kursi pe chad jaata.

Aap kehte ho meri kainchi tez chalti hai,
Itni to nahin jitni isski zubaan ugalti hai.
Aalishaan bangle mein isski lambi car hai,
Aur kehta yeh hai ke "janta ki hi sarkar hai".

Main karta hun tel lagake tumhari maalish,
Yeh karta hai desh ki daulat ko polish;
Main tumhaare safed baal karta hun kaale;
Issne croron rupaye swiss bank mein laga daale.

Mere paas jo kuchh hai, meri apni kamaai hai,
Issne desh ki daulat apne naam karwaai hai.
So, mujhse corruption ki baat mat karo bhai,
Main to thehra sirf tumhaara naai.

No comments:

Post a Comment

I welcome all your comments as long as these are not vituperative, use obscene language and are communal