Friday 1 April 2011

CRICKET HAMARI SHAAN HAI

Cricket hamara mazhab hai,
Cricket hamari jaan hai:
Aur khelon mein hum hon na awwal,
Per Cricket hamari shaan hai.

PM bhi match dekhne aate hein,
Kiyunki woh bhi to insaan hai.
Wah, Pratibha ji bhi aa pahunchi,
Unki kya aan baan hai.

Hamare mulk mein koi hi aisa hoga,
Jo Cricket se anjaan hai.
Bahuton ke liye to dekha jaaye,
Cricket hi saara jahaan hai.

Ek taraf to Sachin God hain,
Doosri ore Zaheer Khan hai;
Pinch hitting mein apne pas,
Koi aur nahin, Yousuf Pathan hai.

Jo kuchh desh mein, wohi Cricket team mein,
Hindu, Sikh aur musalmaan hai;
Sabse labon pe ek hi naara hai,
Saare jahan se achha Hindostan hai.

Kissi se poochho aap itne khush kyun ho,
Jawab: "Wankhede ke saamne meri dukaan hai"
Aamir Khan se poochho yahan kaise aaye?
Kaha: "Meri hi picture ka naam Lagaan hai".

Woh dekho ik amriki bhi aaya match dekhne,
Itna shor sun ke woh kaafi hairaan hai.
Sirf Raja kahin nazar nahin aata,
2G ke scam mein woh behadd preshaan hai.

Final ke liye sab tayyari kar lo doston,
Thodi der mein aane wala ik toofan hai;
Kabhi bhoolna nahin khelte ya dekhte,
Sab deshon se 'Hamara Bharat mahaan hai.

Kyunke, Cricket hamari shaan hai,
Cricket hamari pehchaan hai.






P.S. Winning the ODI World Cup is going to sort out all our problems of Poverty, Corruption, Cross-border Terrorism; poor Public Health, Education, Roads, Railways, other Infrastructure.

2 comments:

  1. A nice poem Sir.One thing most Indians can learn from the men in Blues - hardwork and consistency pays-so never say die! The same Indian team that a few years ago often used to be barbed as 'snachers of defeat from the jaws of victory' did the opposite in the final.Way to go India!
    Yogesh

    ReplyDelete
  2. Sir really a great poem....We won !

    Cheers...

    Manjit Singh Dhiman

    ReplyDelete

I welcome all your comments as long as these are not vituperative, use obscene language and are communal