Saturday, 30 July 2011

JAI HIND

Reproduction of a poem I wrote in May 1999 when Pakistan perpetrated the most heinous infiltration into Kargil, the Indian side of Line of Control (LOC):

Jaana hai tumko aaj ik farz nibhane ki khatir,
Is desh ki mitti ka karz nibhane ki khatir,
Utho ai jawaano sar pe bandh lo kafan,
Shahidon mein apna naam darz karane ki khatir.

Dushman ne ik baar, phir tumhen lalkara,
Dosti ke naam pe hai phir tamacha maara,
Kya bhool gaya vo ik musalmaan kavi ka kehna:
"Saare jahan se achha hindostan hamaara"?

Vijay ho tumhaari ye desh ki hai kaamna,
Karna veerta se tum dushmano ka saamna,
Dekho bach ke paaye na ab yeh ghuspathiye,
Saara jahan karega tumhari veerta ki sarahana.
Is desh ke liye mit jaayenge mar jayenge hum,
Ik inch bhi apni zameen ka hone na denge hum,
Suno Nawaz, suno Musharraf, suno ai Sartaz,
Seene yahan faulad ke aur baazuyon mein hai dum.

Ab kabhi is taraf na daalo nazrein buri,
Ik taraf Lahore Yaatra, aur bagal mein ho chhuri,
Is baar chhod denge apne pe kaabu karke,
Agli baar LOC paar na karne ki, shayad na ho majboori.

Jai Hind hamaara naara hai, Hind hamaari shaan hai,
Khoon ka her tipka Hind ke liye qurbaan hai,
Tumne soye sher ko jaga daala hai moorkh,
Dushman, ab tu chand dino ka mehmaan hai.
 

1 comment:

I welcome all your comments as long as these are not vituperative, use obscene language and are communal